Kanz e Aza

Satai Jaa Rahi Hain Fatima Zahra (s.a) Madine Mein

A noha for Shehzadi Fatima (s.a), written by Ata Abbas Jaipuri (2026). Lyrics in Roman Urdu.

Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein

Ye Kaisa Waqt Baad-E-Mustafa Aaya Madine Mein


Na Kar Paayin Wo Apne Baap Ka Dil Khol Kar Maatam

Bohot Takleef Pahunchi Fatima Ke Qalb Ko Us Dam

Musalmano Ne Jab Rone Se Bhi Roka Madine Mein

Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein


Pidar Ke Haath Ki Likhi Hui Tehreer Ke Tukde

Bhरे Darbaar Mein Ghasib Ne Jab Soo-E-Zameen Phenke

Nabi Ki Laadli Ka Dil Bohot Roya Madine Mein

Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein


Janab-E-Fatima Par Koh-E-Gham Be Inteha Toote

Kaleja Sayyeda Ka Phat Gaya Us Waqt Sadme Se

Tamaacha Jis Ghadi Maloon Ne Maara Madine Mein

Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein


Farishte Bhi Jahan Aakar Jhuka Dete The Apna Sar

Salaami Ke Liye Jis Dar Pe Khud Aate The Paigambar

Laeenon Ne Jala Daala Wo Darwaaza Madine Mein

Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein


Gira Jab Jalta Darwaaza Tadap Kar Reh Gayin Zahra

Shikam Mein Qatl Kar Daala Gaya Nan’ha Sa Ek Bachcha

Nabi Zaadi Ne Mohsin Ka Bhi Gham Paya Madine Mein

Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein


Qayamat Thi Gale Mein Murtaza Ke Baandh Kar Rassi

Bana Kar Zaalimon Ne Haider-E-Karrar Ko Qaidi

Ye Manzar Fatima Zahra Ko Dikhlaaya Madine Mein

Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein


Aziyat Madar-E-Hasnain Ko Deti Rahi Ummat

Shikasta Pasliyan Lekar Ke Zahra Ho Gayin Rukhsat

Janaaza Fatima Ka Raat Mein Utha Madine Mein

Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein


Saja Rakha Hai Ummat Ne Jahan Par Gumbad-E-Khizra

Wahin Nazdeek Hi Ujdi Hai Qabr-E-Fatima Zahra

Sitam Ye Dekh Le Ja Kar Ke Khud Duniya Madine Mein

Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein


Tadap Jaata Hai Dil Jab Is Tasavvur Tak Ye Aate Hain

Ata Aur Eliya Ye Soch Kar Aansu Bahaate Hain

Nahi Hai Qabr-E-Zahra Par Koi Saaya Madine Mein

Sataayi Ja Rahi Hain Fatima Zahra Madine Mein