sitam baba ki ummat ka kabhi bhooli nahi zahra
wo jalta ghar ka darwaza kabhi bhooli nahi zahra
nabi zaadi ke baalon ki safedi ye bataati hai
bhare darbar mein jaana kabhi bhooli nahi zahra
sitam baba ki ummat ka...
tamachon ke nishan shabbar na dekhe is liye apna
chupana laal se chehra kabhi bhooli nahi zahra
sitam baba ki ummat ka...
rasan dekhi galay mein murtaza ke haye bibi ne
ali par zulm aada ka kabhi bhooli nahi zahra
sitam baba ki ummat ka...
thi inki phasliyan tooti hui aur zakhm e pehlu tha
musalsal dard ka uthna kabhi bhooli nahi zahra
sitam baba ki ummat ka...
rahi jab tak bhi zinda bas usi ko roti rehti thi
bichadna apne mohsin ka kabhi bhooli nahi zahra
sitam baba ki ummat ka...
khule thay jis ghadi bande kafan to maa ki mayyat se
lipat kar laal ka rona kabhi bhooli nahi zahra
sitam baba ki ummat ka...
chale thay turbat e maadar se sheh karbobala jis dam
shah e mazloom ka jaana kabhi bhooli nahi zahra
sitam baba ki ummat ka...
jise izhaar ban mein kar diya pamaal aada ne
wo shah ka be-kafan laasha kabhi bhooli nahi zahra
sitam baba ki ummat ka...