Kanz e Aza

Sada Haye Ali

A noha for Imam Ali (a.s), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

aati hai masjid e kufa se sada haye ali

qatl sajde mein hua sher e khuda haye ali


aaj bhi masjid e kufa hai gawahi is ki

aa ke ye jibreel ne nauha kiya haye ali

aati hai masjid e kufa se...


zakhm jo maa ki shahadat ka laga tha dil par

dil mein phir hasnain ke taaza hua haye ali

aati hai masjid e kufa se...


tar huwe mimbar o mehrab ali ke khoon se

khoon hyder ka musalle pe baha haye ali

aati hai masjid e kufa se...


choti si khwahar e abbas khadija bibi

us pe chaayi hai yateemi ki bala haye ali

aati hai masjid e kufa se...


kis tarha zainab o kulsoom ki haalat ho bayan

bhaiyon se ye galay lag ke kaha haye ali

aati hai masjid e kufa se...


kiya hasnain ne jis waqt janaza tayyaar

thaam kar ghazi kafan kehne laga haye ali

aati hai masjid e kufa se...


uthi jab majid o mukhtar ali ki mayyat

taygh e hyder se bhi aati thi sada haye ali

aati hai masjid e kufa se...