Kanz e Aza

Sultanan Naseera

A noha for Imam Ali (a.s), written by Majid Raza Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ya ali ya ali ya ali

ye waseela wo hai jisko nahi rad karta hai

ya ali kehte hi allah madad karta hai

sultan an naseera ali ali ya ali


ay mere maula mere pehle imam

tum pe hazaron ho durood o salam

teri sana karta hoo mai subho shaam

hai teri khidmat mein ye tera ghulam

arsh talak phool ki khushboo gayi

bas yehi kehti hai chaman ki kali

sultan an naseera...


tu hai hussain ibne ali ka pidar

hai hassan e mujtaba tera pisar

aisa hai abbas tera sher e nar

jaanta hai teri tarha har hunar

taygh jo maidan mein uski chali

bas yehi har samt sada goonj uthi

sultan an naseera...


tujhko sabhi kehte hai mushkil kusha

umdaa kusha kehte hai khairul wara

sakht se bhi sakht hua maareka

fatha na khyber jo kisi se hua

bas ye sada deta tha mera nabi

jald chale aao khuda ke wali

sultan an naseera...


jinn o ins o malak o hoor ka masjood ali

qibla e ahle wila kaaba e maqsood ali

mazhare noore khuda khudrat e mabood ali

aankh jab hone lagi bandh to maujood ali

zeest ke shehr mein daakhil huwe marna kaisa

jab hai baali pe ali maut se darna kaisa

sultan an naseera...


kuch inhe inke maraatib se siwa kehte hai

kaj nazar hai wo nussairi jo khuda kehte hai

ye waseela wo hai jis ko nahi radh karta hai

ya ali kehte hi allah madad karta hai

sultan an naseera...


jisko khuda ne ye diya martaba

jisko sahaba ne bhi maula kaha

jisko wali kehti hai wahi e khuda

aal par uski hui kya kya jafa

karbobala mein gayi aale nabi

dasht mein har samt sada goonj uthi

sultan an naseera...


sheh jab uthaane lage laashe jawan

gham ki dil e sheh pe giri bijliyan

zauf ke aalam mein ba dard o fughan

laash uthaane lage shaahe zaman

suye najaf dekh ke bole yehi

aaiye imdaad ko baba ali

sultan an naseera...


shaam e ghariban jo ayan ho gayi

masnad e sarkaar e do aalam jali

zainab o kulsoom ki haalat ye thi

sar pe na maqna tha na chadar rahi

pehre pe ghazi ki behen aagayi

ro ke ye kehti rahi binte ali

sultan an naseera...


beti jo deti thi padar ko sada

dekha ke ek naaqa sawaar aa gaya

rukh se naqaab apne ulat kar kaha

beti na ro aa gaya baba tera

baba ke tab seene se zainab lagi

aur lipat kar yehi kehti rahi

sultan an naseera...


sab ko sunado yehi maajid bayan

tum bhi yehi nauha pado shadman

lut gaya jab fatema ka gulsitan

hum ko barabar hai bahaar aur khiza

chaahe khushi ho ke musibat koi

hum to sada kehte rahenge yehi

sultan an naseera...