zainab ye pukari mere bhaiya ko na maaro
yun lakhte dil e fatema zehra ko na maaro
hai muntazir ek bachi dar e qaima pe uski
mar jayegi baba e sakina ko na maaro
zainab ye pukari...
khanjar na rakho bosagahe mustafavi par
bhaiya ko na maaro mere bhaiya ko na maaro
zainab ye pukari...
boli tan e sarwar se lipat kar ye sakina
ruk jao khudara mere baba ko na maaro
zainab ye pukari...
zaalim na ruke kar diye qasim ke bhi tukde
shabbir ye kehte rahe naushaah ko na maaro
zainab ye pukari...
pathar sar e naiza jo laga shaah ke sar par
kulsoom pukari dil e zehra ko na maaro
zainab ye pukari...
rukhsaar e sakina pe jo lagte thay tamache
abid ki sada thi meri behna ko na maaro
zainab ye pukari...
goonji ye sada dasht mein ay majid o mukhtar
mazloom ko majrooh ko tanha ko na maaro
zainab ye pukari...