Zalzalo me dunya thi aasmaan larza tha
reg-e garm senra par shaahedee'n ka lasha tha
Be qaraar moujei'n thee'n Shola baar darya tha
Ibne saaqie kousar teen din ka pyasa tha
Har qadam pa thokar thi dil me dard uth'ta tha
Sheh ki naatawani thi noujawaa'n ka lasha tha
Kal lahu me doobegi noujawaani akber ki
Maa ki chashme hasrat thi sub'ha ka sannata tha
Qatl ho gaye abbas aas tooti pyaso'n ki
Mashk tukde tukde thi Khoo'n me tar pharera tha
Qalbe fouj me utthi inqelaab ki moujei'n
Daste shah par pyaasa sheerqaar bacha tha
Ab wo chaand bano ka zere qaak pohnchaa hai
Ghar ki jo tajalli thi aankho'n ka ujaala tha