jo pahuncha asr ko dashte bala mein zaafare jin
ghira ajeeb ghame naarwan mein zaafare jin
sitam wo dekhta hai karbala mein zaafare jin
ke mubtela hua gham ki faza mein zaafare jin
bahot hi tanha shahe khushkisaal ko dekha
ke choor zakhmo se zehra ke laal ko dekha
jo pahuncha asr ko karbobala mein zaafare jin
machal ke zaafare jin ne nikaal li talwaar
buland karta tha jismi lakal fida ki pukaar
hussain ko jo ye manzar nazar pada ek baar
pukar kar kaha zaafar na kar abhi paykaar
bala ke ban mein na hum yun ladaayi chahte hai
khuda se ummate jadh ki bhalaayi chahte hai
jo pahuncha asr ko....
khareeb aagaya ye hukm sunte hi zaafar
nazar pada usay andohnaak ek manzar
ke zuljanah ki thaame lajaam hai hyder
amama sar se utaare khade hai payghambar
wahan thay nooh zabiho khaleel aaye huwe
khade thay musa o eesa bhi sar jhukaye huwe
jo pahuncha asr ko....
qadam ko choom ke sheh ke pukara ye zaafar
mere imam mere moqtada mere rehbar
lahoo rulata hai mujhko ye khoon fashan manzar
na jaanisar koi aur na nasir o yawar
na lashkare na sipahe na kasratun nasir
na qasime na ali akbare na abbase
jo pahuncha asr ko....
hussain legaye zaafar ko tab suye maidan
to dekha sota hai darya kanare ek jawan
kate hai haath to shaano se bhi hai khoon rawan
kaha hussain ne zaafar se ba dile giryan
hai hasraton ka badan yaas ka ye laasha hai
hamari jaan ka abbas ka ye laasha hai
jo pahuncha asr ko....
hussain tab suye maqtal chale meine zaafar
wahan zameen pe laashe jawan aayi nazar
hussain bole ye hai hum-shabihe payghambar
hamare jaan o jigar aur hamare noor e nazar
jigar pe naiza laga pusht se huwa baahar
sina ke saath kaleja bhi aagaya baahar
jo pahuncha asr ko....
jo poocha zaafare jin ne ye ghatri mein kya hai
hussain roke pukaare ke ek dulha hai
mere aqi hassan-e-mujtaba ka beta hai
sitam se ghodon ki taapon ne isko kuchla hai
hai sehra haath mein khwahar bhi intezar mein hai
dare qayaam pe maadar bhi intezar mein hai
jo pahuncha asr ko....
kaha hussain ne ab tu yahan se jaa zaafar
jo ambiya bhi yahan hai na koi tehre idhar
faqad rahe yahan mere nana payghambar
rahenge bhaiya hassan aur rahega mera padar
bala ke dasht mein ahmed ki pyari aati hai
falak se ab meri maa ki sawari aati hai
jo pahuncha asr ko....
ba waqte asr chali karbala mein tez hawa
malaayeka bhi ye utre sawari e zehra
pisar ko bibi ne bad kar galay se liptaaya
rakha hussain ne zaanu pe maa ke sar apna
kaha mujhe wohi lori sunado ay amma
ke neendh aati hai mujhko sulado ay amma
jo pahuncha asr ko....
bayan ho kaise ay majid wo khoon fashan manzar
dobara dasht mein aaya palat ke jab zaafar
to dekha chal gaya halqoon mein shaah pe khanjar
baland naize pe tha shadman hussain ka sar
machi thi loot nabi ke qayaam jalte thay
saron ko peeth'te ahle haram nikalte thay