sar ali ka sajda e khaaliq may zarbat ke liye
hashr tak ek daaghe ruswaai hai ummat ke liye
ghar lutaya jaan tak dedi hidayat ke liye
aur kya karte gunehgaran e ummat ke liye
sar ali ka sajda…
hyder e karaar se virsa mila aulaad ko
hogayi kismat shahadat har imamat ke liye
sar ali ka sajda…
ghar may khaaliq ke ameer-ul-momineen ka qatl ho
masjid e kufa bani thi is qayamat ke liye
sar ali ka sajda…