Kanz e Aza

Sar Apna Kata Gaya

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

agarche ran mein sar apna kata gaya hai hussain

magar yazeed ki gardan jhuka gaya hai hussain


mila sakega na ab koi haq o baatil ko

ke darmiyan mein rasta bana gaya hai hussain

agarche ran mein sar...


jo maut aana bhi chaahe to aa na sake

ke marne waalon ko jeena sikha gaya hai hussain

agarche ran mein sar...


wo khud to pyasa tha par khaab zeen e darya ko

shikast e faash ka pani pila gaya hai hussain

agarche ran mein sar...


na maale uqba mila aur na daulat e dunya

ameer e shaam ko muflis bana gaya hai hussain

agarche ran mein sar...


ye karbala e moalla ka naam kehta hai

ke aasman ko zameen par bicha gaya hai hussain

agarche ran mein sar...


khuda ki raah mein de kar jo chadare zainab

ghilaaf e kaaba ki hurmat bacha gaya hai hussain

agarche ran mein sar...


rusool zaadi ka maathe pe baandh kar rumaal

janabe hurr ka muqaddar jaga gaya hai hussain

agarche ran mein sar...