Kanz e Aza

Sanae Murtaza Hai

A noha for Imam Ali (a.s), written by Mirza Dabeer. Lyrics in Roman Urdu.

sana e murtuza hai aur mai hoo

yehi ek mashghala hai aur mai hoo


nabi kehte thay hyder tumhara

shanasa ek khuda hai aur mai hoo

sana e murtuza hai...


farishton qabr may aahista bolo

yahan mushkil kusha hai aur mai hoo

sana e murtuza hai...


safeh dushman se hurr nikla yeh keh kar

bus ab raahe khuda hai aur mai hoo

sana e murtuza hai...


khabar deta hai ran may husne akbar

sada noor e khuda hai aur mai hoo

sana e murtuza hai...


watan may haal sughra jis ne poocha

kaha aah o buka hai aur mai hoo

sana e murtuza hai...


safar may aagayi shaam e ghariban

layeeno ki jafa hai aur mai hoo

sana e murtuza hai...


tamanna daulat o hashmat ki bejaan

dabeer aakhir fana hai aur mai hoo

sana e murtuza hai...