zindagi mein thay sitam aur qabr pe bhi hai sitam
zaalim ne fatema tere rauze ko dha diya
dil mustafa ka toda ali ko rula diya
khaaliq ne maangi sirf mawaddat thi doston
ummat ne fatema ko ye kaisa sila diya
zaalim ne fatema tere...
dhaaya mazaar zulm ne zehra ka jis ghadi
hyder ne aansuon ka musalla bicha diya
zaalim ne fatema tere...
karke shaheed dehr mein mohsin ko bekhata
karbal ki sarhadon se madina mila diya
zaalim ne fatema tere...
tooti hui thi phasliyan zehra ki is liye
bibi pa jalta dar jo layeen ne gira diya
zaalim ne fatema tere...
zahra ke ghar ki misl sakina ka shaqi ne
ghar jis tarha jalaya tha kurta jala diya
zaalim ne fatema tere...
zahra ko kaaba kaabe ka batla ke hashmi
khaaliq ne saari dunya ko sajda kara diya
zaalim ne fatema tere...