haye jab ahl e haram qaid se yasrab pahunche
ladkhadate huwe zainab ne qadam ghar mein rakhe
maa ne jab aun o mohamed ke musalle dekhe
sabr phir toot gaya boli ye zainab ro ke
aaj jee bhar ke tumhe royegi maa aun o mohamed
ay mere dil ka sukoon ay meri jaan aun o mohamed
jab se bhai pe tumhe sadqa kiya zainab ne
phir tumhara kabhi pursa na liya zainab ne
sabr ab hoga nahi mujhse yahan aun o mohamed
aaj jee bhar ke tumhe...
khud ko us waqt sambhala tha badi mushkil se
kaise bheja tha tumhe poocho ye mere dil se
tum thay is maa ke liye dono jahan aun o mohamed
aaj jee bhar ke tumhe...
saath jin bachon ke in galiyon mein tum khelte thay
hai kahan aun o mohamed wo ye jab poochenge
kya batayegi ye maa tum ho kahan aun o mohamed
aaj jee bhar ke tumhe...
maa ke mamta ka bada maan rakha hai tum ne
nehr par jaa ke bhi pani na piya hai tum ne
kar diya qatl tumhe tishna dahan aun o mohamed
aaj jee bhar ke tumhe...
bhai ke laash pe jaate huwe dekha mai ne
haye qasim ki tarha dasht mein tum bikhre thay
mai tumhare wo badan bhooli kahan aun o mohamed
aaj jee bhar ke tumhe...
bas ye mai jaanti hoo kaise wahan sabr kiya
dekh kar naizon pe sar jis ghadi laila ne kaha
tum kahan aur kahan nok e sina aun o mohamed
aaj jee bhar ke tumhe...
jaise gustaakhi wo karte thay sar e asghar se
shaam ke bachon ne khela hai tumhare sar se
thokare maari gayi tum ko wahan aun o mohamed
aaj jee bhar ke tumhe...
haye zeeshan o raza boli ye zainab ro kar
do hi bete thay jo qurban kiye bhai par
kehne waala na raha ab koi maa aun o mohamed
aaj jee bhar ke tumhe...