roze ashoor kehti thi maadar
haye asghar mere haye asghar
kaise dil ko sukoon ho meinassar
haye asghar mere haye asghar
kaise taqdeer maine hai paayi
mil gaya dil ko daaghe judaai
dil ke tukde huwe hai bahattar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...
haye karbobala ki zameen par
chain paaya na dil ne kahin par
ye zameen hai ghamon ka samandar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...
tere tasnalabi ke mai waari
ashk ab bhi hai aankhon se jaari
sookhe honton pa qurban ho maadar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...
aise maa ko na apni saza do
ho kahan laal mujhko sada do
aao aao meri jaan asghar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...
dil ke armaan kare kaun poore
reh gaye khwaab mere adhoore
hasratein reh gayi haye ghut kar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...
raat tareek sunsaan sehra
har taraf hai layeeno ka pehra
tum ko chodun akela mai kyun kar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...
jab padar ne madad ko bulaya
khud ko jhoole se tum ne giraya
muskuraye suna teer kha kar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...
tum ko dhoondun kahan tumko paaun
rote rote yuhin mar na jaaun
saas ghut'ti hai seene ke andar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...
ran mein kamsin teri zaat wahid
faqr hai tujh pa nannhe mujahid
gore gaalon pa qurban ho maadar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...
hasliyon waale masoom bache
kar ke tujhko khuda ke hawale
ja rahi hai ye majboor maadar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...
aisi dekhi nahi mehmaani
haye asghar ne paaya na pani
karbala mein raza ek tha mehshar
haye asghar mere haye asghar
roze ashoor kehti thi...