Roro Ke Kaha Maa Ne Jhula Main Jhulaoungi
Aye Laal Mere Aaja Godi Me Sulaoungi
Aye Sher Mere Mujko Tu Jaan Se Pyara Hai
Iss Ghamzada Madar Ka Tuhi Tho Sahara Hai
Bin Tere Mere Beta Main Jee Nahin Paoungi
Iss Tapte Hue Ban Me Tu Soo Nahi Paega
Maa Royegi Tu Jab Tak Wapas Nahi Aayega
Aaja Tuje Mamta Ke Saye Me Sulaoungi
Bikhre Hue Lashe Hai Khoon Behra Hai Maqtal Me
Darjaye Tu Na Beta Iss Mout Ke Jungle Me
Aaja Main Tuje Apni Goud Me Chupaoungi
Taklif Nahi Dena Tum Apne Baradar Ko
Gar Tum Nahin Asakte Awaaz Do Madar Ko
Maqtal Se Tumhe Lene Main Khud Chali Aaoungi
Ek Hashr Hua Barpa Akbar Ye Sada Sunke
Jab Jate Hue Ran Se Mud Ke Kaha Maa Ne
Ghabrana Nahi Beta Main Lout Ke Aaoungi