zainab jidhar khuda tha udhar dekhti rahi
kat'te hue hussain ka sar dekhti rahi
sar khole dekhti rahi jaate hussain ko
jitni bhi door uski nazar dekhti rahi
zainab jidhar...
gum hote dekhti rahi saaya hussain ka
uth'te hue lahoo may bhawar dekhti rahi
zainab jidhar...
chalta raha nashayb may khanjar hussain par
khanjar ko dekh apna jigar dekhti rahi
zainab jidhar...
beh beh ke likh raha hai lahoo harfe la-ilaah
behte hue lahoo ka asar dekhti rahi
zainab jidhar...
thi har taraf se teeron ki baarish hussain par
thay har taraf bagolay jidhar dekhti rahi
zainab jidhar...
khanjar tha haye haafiz e saamit ke haath may
naatiq ko haye khoon may tar dekhti rahi
zainab jidhar...
lagta hai intezar tha jiska wo aa gaya
yun aankh sheh ki qaime ka dar dekhti rahi
zainab jidhar...
kya dekhti rahi wo barasta hua lahoo
kya sholon may ghira hua ghar dekhti rahi
zainab jidhar...
masroofe sayr e arsh raha mai jahan naved
har ankh mujhko khaak asar dekhti rahi
zainab jidhar...