Kanz e Aza

Zainab ka Ye Noha

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Suhail. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ka ye noha tha majaye khuda hafiz

kya din hamay furqat ne dikhlaye khuda hafiz


ek godh ke paale hai khele hai ek aangan may

ab chod chale mujhko tanhai ke is ban may

shikwa ye behan lab par kya laaye khuda hafiz

zainab ka ye noha tha...


ab kaun sakina ko seene pe sulayega

roothegi agar bachi kaun usko manayega

ro roke na wo bachi mar jaye khuda hafiz

zainab ka ye noha tha...


khud apne hi haathon se amma ne siya tha jo

amma ki wasiyat thi kurta wohi ab pehno

puri wo wasiyat bhi hojaye khuda hafiz

zainab ka ye noha tha...


jab haale safar jaa kar sughra ko sunaungi

guzre jo alam hum par jab usko bataungi

aisa na ho wo sunkar mar jaye khuda hafiz

zainab ka ye noha tha...


har ghar may bicha doongi mai teri safe matam

har ghar pe laga hoga ek roz tera parcham

kam honge na gham ke ye saaye khuda hafiz

zainab ka ye noha tha...


bhai ka suhail us dam kya haal hua hoga

jab ruqsate aakhir may zainab ne kaha hoga

majaye khudafiz majaye khuda hafiz

zainab ka ye noha tha...