Kanz e Aza

Zainab ke Samne

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Maulana Shamshad Ahmad Gopalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

Yeh Karbala mein kya hua Zainab ke saamne,

Zahra ka ghar ujad gaya Zainab ke saamne.


Paani pila na paayi dam-e-zibh bhai ko,

Sar tan se kar diya juda Zainab ke saamne.


Bhai tadapta reh gaya teeron ki nok par,

Nok-e-sina pe sar chadha Zainab ke saamne.


Maqtal mein haaye ghodon se paamaal ho gaya,

Bint-e-Nabi ka laadla Zainab ke saamne.


Baad-e-Hussain aag laga di khayaam mein,

Ek ek khaima jal gaya Zainab ke saamne.


Khaimon ke saath raakh hua jal ke haaye haaye,

Jhoola bhi sheekhaar ka Zainab ke saamne.


Ghazi ke sar ne dekha jo behnon ko be-rida,

Neze se neeche gir gaya Zainab ke saamne.


Chehra lahu se bhar gaya Zahra ke laal ka,

Patthar jabeen pe jab laga Zainab ke saamne.


Maari chhadi Yazid ne munh par Hussain ke,

Phir tasht khoon se bhar gaya Zainab ke saamne.


Maanga Sakina Bibi ne paani jo Shimr se,

Maara tamaancha zor ka Zainab ke saamne.


Dhakka kuchh is tarah diya Abid ko Shimr ne,

Beemaar munh ke bal gira Zainab ke saamne.


Shamshad tere nauhe ko sun kar bahisht mein,

Saara gharana ro pada Zainab ke saamne.