ZAINAB KI TAMANNA HAI CHELUM HU BAHATTAR KA
HAR SAANS KARE MATAM HAR AANKH KARE GIRYA
1.Kal Zainab e Muztar Par Tufaan They Mazalim Ke
Baazu Pa Badhi Rassi Majboor Thi Matam Se
Us Gham Zada Bibi Ku Dena Hai Hume Pursa
2.Jab Choth Ke Haram Aaye Zindan Aaziyath Se
Dil Bibiou Ke Tadpe Karbal Ki Ziyarath Se
Khabre Jo Nazar Aayi Ek Hashr Howa Barpa
3.Shabbir Ki Turbat Par Zainab Ne Kahan Rokar
Main Aayi Hu Aaye Bhai Har Ranj o Alam Sehkar
Jee Bhar Ke Kabhi Tumku Main Ro Na saki Bhaiya
4.Tadhpati Reh Reh Kar Bazarou Ki Zebayi
Bhai Teri Zainab Par Haste They Tamashai
Sar Sharm Se Balwe Me Uthaa Na Kabhi Mera
5.Baazu Pa Naasha Lekar Kaise Main Watan Jaoun
Jo Zulm Howe Hum Par Kis Tarah Se Batlaou
Sughra Se Milo Kaise Kya Usse Kahu Bhaiya
6.Akber Ka Kiya Matam Qasim Ku Kabhi Royi
Abbas Ki Turbat Par Yeh Kehte Howe Doudhi
Kis Kis Ka Karu Chelum Koi Na Raha Mera
7.Hai Saya Figan Bibi Zainab Ki Dua Hum Par
Moula Ki Zamanath Me Sab Matami Aye Manzar
Badhta Hi Rahe Har Yeh Karwa Aza Ka