Jalti zami'n pa gir pade jab Akbare Jawa'n
Laashe pa Shaah Pohnche to andher tha jaha'n
Laila se dekha jaaega Kis tarha ye sama
Kadiyal Jawa'n ke sine me tooti huwi sina
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
Bedast hoke gir pade Abbas-e Naojawa'n
Ankho'n me Sheh ki deed ka Arma'n Labo'n pa Jaa'n
Haa'el hai darmiyaan me ek teere jaa'nisaa'n
Rone Lage Tadapke Shahinshah-e Insojaa'n
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
Kya Housle the tifle Shah-e Benazir ke
The nehr par buland Iraade Saghir ke
Tewar ayaa'n the rukh se Janab-e Ameer ke
Nanha sa ek Gala tha muqabil me teer ke
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
Beta khada hai saamne aur Berida Bahan
Jakda huwa hai tougo salasil me sara tann
Baba ki Laash rann me hai begoro bekafan
Sadme se kampne laga Sajjad Ka badan
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
Karbo bala se Karwa'n Kufa huwa rawa'n
Oonto ki nangi pusht pa baithi hain Bibiya'n
Hai Sar khula har ek ka Baazu me Reesma'n
Zainab tadap ke dekhti hai soowe aasma'n
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
Jaari the Qaidiyo'n pa mazalim ke silsile
Asnaa-e raahe Kufa me the sakht marhale
Oonto'n se girke Margaye Bachche Hussain Ke
Godi Ghareeb Maao'n ki Viraan Kargaye
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
Tashte Tila me Farq-e Shahe Deen tha Rakha
Aur ek taraf khada huwa Kunba Rasul ka
Honto'n pa phir Hussain ke wo zulm hogaya
Zainab Ka naatawaan Badan kampta raha
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
Tarik qaid khane me jab Khafila gaya
Rokar Sakina Boli ke Amma ye kya huwa
Kya waqt Meri mout ka nazdik agaya
Banu Pukari ye na kaho Meri Dilruba
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
Tha hichkiyo'n ke darmiya'n Khwahar Ka ye baya'n
Hain shiddate atash se Mere khushk ustokhwa'n
Thandi jagah pa dafn karo Hamko Bhaija'n
Sar ko Jhukaae Rote the Sajjade Natawa'n
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya
Hai Zikr subha-o Shaam Shahe Mashragqain ka
Karbal ke Tashnakaam ka Zehra ke Chain ka
Matam hai Dilbare Shahe Badro hu'nain ka
Ahsan hayat apni hai Sadqa Hussain ka
Aabaad Ghar Hussain ka Viraan Hogaya