Bekasi me kya Meri aas toot jaaegi
Ab Tumhare jhoole me kisko Maa jhulaaegi
Dasht ke andhere me kaise neend aaegi
Ghut rahi hain seene me kab se loriya'n Asghar
Bain the yeBano ke MereBezaba'n Asghar
Dekhne ko zinda thi Maa wo karb ka manzar
Kya sitam hua Beta aah Teri gardan par
Teere zulm kya kam tha haay phir chala khanjar
Gir pada na dharti par kyun ye asmaa'n Asghar
Bain the ye Bano ke MereBezaba'n Asghar
Tere jisme naazuk par pyaas ka asar dekha
Tera chaand sa chehra khu'n me tar ba tar dekha
Maine noke naiza par haay Tera Sar dekha
Margayi na kyu'n Teri benaseeb Maa Asghar
Bain the ye Bano ke MereBezaba'n Asghar
Kya baya'n karun BetaMere qalb ki haalat
Phir rahi hai aankhon meTeri chaand si surat
Kar saki na jee bhar ke haayMainTeri khidmat
Sharmsaar hai Tujh se aaj TeriMaa Asghar
Bain the ye Bano ke MereBezaba'n Asghar
Shaahe dee'n ne dafnaaya TeriLaash ko Beta
Ahle zulm ko lekin yebhi kab gawaara tha
Qabr se nikala tha Tera khu'n bhara Laasha
Phool sa wo sar Tera aur wo sina Asghar
Bain the ye Bano ke MereBezaba'n Asghar
Reh gaya hai nazron meTeri pyaas ka manzar
Ek boond bhi paani Maina desaki Dilbar
Maa nisaar hojaati Tere khushk honton par
Shiddat e atash se wo Teri hichkiyaan Asghar
Bain the ye Bano ke MereBezaba'n Asghar
Kyun rahe na mehshar tak dil figaar Bano ka
Haa'n ye maatame Asghar hai qaraar Bano ka
Kya baya'n kare Ahsan haale zaar Bano ka
Umr bhar labo'n par tha haay Meri Jaa'n Asghar
Bain the ye Bano ke MereBezaba'n Asghar