Kanz e Aza

bano se aake

A noha for Ali Asghar (a.s) (2007). Lyrics in Roman Urdu.

bano se aake


Ay amma-3


Bano se aake khwab me kehta tha sheer khwar


Ay amma-2

Ay amma mai dadi k paas hun.


Furqat me meri yoon na karo dil ko beqarar.


Ay amma-2

Ay amma mai dadi k pas hun.


1) Pani ki ek boond bhi Mai pa bhi nahi saka, Maqtal se khaima gah Mai aa bhi nahi saka-2

Tumko gale ka zakhm dikha bhi nahi saka, Zalim ka teer ho gaya gardan k aar paar.


Ay Amma-2

Ay amma mai...

Bano se..


2) Aakar Jo mere halq pe teer E sitam laga, Sukhe gale se khoon ka chashma ubal pada-2

Chullu me leke Baba ne chehre pe mal lia, Acha hua KI tumne na dekhi wo khoo'n ki dhaar


Ay amma-2

Ay amma mai..

Bano SE..


3) Tabdeel meri pyas ka manzar na ho saka, Tha khushq halq khushq raha tar na ho saka-2

Turbat me bhi sukoon mayassar na ho saka, Naize se zalimo'n ne ukhada mera  mazaar


Ay amma-2

Ay amma mai...

Bano se..


4) Pehle kia shaheed mujhe teer maar kar   pheri gale pe tegh lehed se nikal kar-2 Phir naize pe chadhaya gaya haye mera sar, Mujh par sitam kiye hain layeeno'n ne baar baar


Ay amma-2

Ay amma mai...

Bano se..


5) Aaya Jo khaima gah SE Baba KI God me, Phir ja na paya Bali SAKINA KI God me-2

Jata watan to khelta SUGHRA ki God me, Taqdeer par raha hai bhala kiska ikhtiyar.


Ay amma-2

Ay amma mai...

Bano SE..


6) Mahaul dil kharash tha qatl gah me, Sare gunah gar the shamil gunah me-2

Khaya kisi ne Rehem na zalim sipah me, Meri lehad bana k bahot royi zulfiqar


Ay amma-2

Ay amma mai...

Bano se..


7) Zakhmo'n ne mera nanha sa dil choir kar dia, Taqdeer ne behen se bahot Dior kar dia-2

Mai kya kahun KI maut ne majboor kar dia

Keh do SAKINA se na kare mera intezar


Ay amma-2

Ay amma mai...

Bano se..


8) FAKHRI Tere kalaam KI wo ehmiyat nahi, Meesum Tere bayan me wo kaifiyat nahi-2

Us dard ko sametne KI haisiyat nahi, Jis dard SE tadap k ye kehta tha sheer khwar


Ay amma-2

Ay amma mai dadi k pas hoon.


Bano SE aa k khwab me kehta tha sheer khwar


Ay amma mai dadi k pas hun.