Kanz e Aza

Beqata maara Gaya SIbte

A noha for Imam Hassan (a.s) (2007). Lyrics in Roman Urdu.

Ya Hassan

x6


Bay Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba


x3

1. Zehr se tukre jigar, khoon say kafan laal huwa

Wa Hassan-e-sabz-e-qaba


Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


x2

2. Khun ugalte huwe bhayi ko behan ne dekha or tarap ker ye kaha

x2

Teri gurbat pe ay bhayi teri Zainab ho fidaa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


x2

3. Maa ke dukh se abhi azad kahan thi zainab

hogaya kaisa gazab

x2

Baap zinda na raha Bhayi suwe khuld gaya wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


x2

4. Ker diya Zahr-e-hala hal ne Jigar ke tukre Aur Qasim ke liye

x2

Kamsini me hai ye gham Sham-e-gharibi jaisa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


x2

5. Ghar se ik baar janaza jo nikal jata hai

kab wo phir aata hain

x2

Aisa taboot hai ye lot ke jo ghar ayaa wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


x2

6. Sheh ne us wakht jo Ghazi ko na roka hota

hashr ho jata bapaa

x2

teer aate na janaze pe tumhare Maula wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


x2

7. Bhai ki laash pe ghazi ne tadap kar dekha aur sarwar se kaha X2times

Ab to dedijiye aaqa mujhe ladne ki rizaa wa hasan e sabz qaba

8. Sheh ko


Rehan

baraadar kaa jigar yaad aya

jab se karbobala

x2


Tukde Qassim ke utha te huwe maula ne kaha wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba


x2