bole mahdi yahi alvida alvida
aye hassan askari alvida alvida
deke zehre dagha tumko be jaa'n kiya
aye quda ke wali alvida alvida
mo(a)tamad be sabab haaye dhaaya ghazab
aye wasie ali alvida alvida
tumko paau kahan aah mai qastajaa'n
roohe jaane naqi alvida alvida
tha hidaayat se kaam aapko sub'ho shaam
ae shahe muttaqi alvida alvida
ae shahe dil doneem, ho gaya mai yateem
kaisi mout aagayi alvida alvida