Bole sajjad kya gham uthaae pyaari behna
Bhai aur tera laasha uthaae pyaari behna
Hai andhere me bibi ki mayyat, waae ghurbat
Shamma koun aake is jaa jalaaye pyaari behna
Hathkadi haath me hai hamaare, bas nahi hai
Ab kafan koun tujh ko pinhaaye pyaari behna
Bhai ke haath me bediyaa'n hai, Zoaf bhi hai
kis tarah ab janaza uthaaye pyaari behna
Kab se mayyat tumhaari padi hai, bekasi hai
dafn ke izn dekhe'n kab aaye pyaari behna
Haaye tumko tamaache bhi maare ,dur bhi cheene
Zaalimo ne sitam tujh pa dhaaye pyaari behna
Kaan zaqmi hue laal kurta, gaal neela
Ranj par ranj bibi ne paaye pyaari behna