boli maa dashte sitam mein kis tarha chain aayega
nanhi si turbat mein asghar kaun dil behlayega
aao maa ki godh mein aao badal doo mai libaas
khoon bhara kurta ye eeza jism ko pahunchayega
boli maa dashte sitam...
maine to bheja tha tum ko pani peene ke liye
ye na samjhi thi ke naawak se gala chid jayega
boli maa dashte sitam...
maamta dhoondegi tujhko godh mein ay mere laal
jab koi masoom chehra saamne aa jayega
boli maa dashte sitam...
hai tumhari umr choti itna to socho zara
nanha sa masoom dil is dasht mein darr jayega
boli maa dashte sitam...
aaj hai shaam e ghariban kal shabe ashoor thi
kya pata tha ek din mein aisa toofan aayega
boli maa dashte sitam...
har ghadi beta yehi mai sochti hoo baar baar
kaun uljhe gaysuon ko ab wahan suljhayega
boli maa dashte sitam...
wo tera nanha gala aur haye wo sehra ki dhoop
jab bhi sochungi mere dil ko bohat tadpayega
boli maa dashte sitam...
neend tujhko maa ki lori ke baghair aati nahi
har ghadi bechain tu turbat mein khud ko payega
boli maa dashte sitam...
din mere nazroon mein hoga raat se bad kar siyah
un ghane baalon ka tere jab khayaal aa jayega
boli maa dashte sitam...
nanhe se dil ki badegi aur kuch bechainiya
mere bache jab wahan jhoola nahi tu payega
boli maa dashte sitam...
wo tere sookhe huwe lab aur wo sehra ki dhoop
ye tasavvur maa ke dil par ek qayamat dhayega
boli maa dashte sitam...
kyun darun mai qabr ki manzil se jab ke ay raza
khuld ka ghar sheh ke sadqe mein mujhe mil jayega
boli maa dashte sitam...