Kanz e Aza

Kaha Rabab ne Rokar

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Raza Ali Khan Lakhnavi. Lyrics in Roman Urdu.

kaha rabab ne ro kar watan chalo beti

ye maa ho tum pa nichawar watan chalo beti


tadap tadap ke mai roti hoo har ghadi ab to

rehaai qaid se sun kar watan chalo beti

kaha rabab ne ro kar...


khila pila ke sulaya karungi pehlu may

ye waada karti hai maadar watan chalo beti

kaha rabab ne ro kar...


na ab tamache na shimr e layeen ka darr hoga

na koi cheenega gauhar watan chalo beti

kaha rabab ne ro kar...


har ek lamha jise yaad kar ke roti thi

hai muntazir wo tera ghar watan chalo beti

kaha rabab ne ro kar...


bahana shimr ka pani wo tum ko tadpa kar

na bhool paayi wo manzar watan chalo beti

kaha rabab ne ro kar...


andheri raat hai aur ek hoo ka aalam hai

sukoon paaogi kyun kar watan chalo beti

kaha rabab ne ro kar...


kisi khushi ki tamanna wo maa kare kaise

ke jis pa toota ho mehshar watan chalo beti

kaha rabab ne ro kar...


rabab qabr e sakina se jab raza uthi

har ek lamha tha lab par watan chalo beti

kaha rabab ne ro kar...