jee rahi hai baba jaan kaise sakina dekhiye
neel chehre par hai kitne mera chehra dekhiye
jab mere pairon ko baba khaar zakhmi kar chuke
kaanch ke tukde unhi zakhmon may aa kar bas gaye
khoon se mere hai tar zindan ka rasta dekhiye
jee rahi hai baba jaan...
nanhe nanhe bachon ko bazaar may le aate thay
shaam waale maar kar mujhko rulaate jaate thay
aur bachon se ye kehte thay tamaasha dekhiye
jee rahi hai baba jaan...
patharon se is tarha zakhmi ye peshani hui
aap hi samjhenge mujhko jo pareshani hui
kaise mai karti hoo ab mitti pe sajda dekhiye
jee rahi hai baba jaan...
saabiron ki beti ho to sabr kyun khoti ho tum
dard hota hai tamachon se to kyun roti ho tum
aap mujhko maarne waalon ka shikwa dekhiye
jee rahi hai baba jaan...
wo bani hashim ke roshan ghar madina aap ka
ye andhere qaid khaane ye aseeri ki fiza
ek nazar ay baba jaan mera madina dekhiye
jee rahi hai baba jaan...
hafs ke aalam may rakha aap ke sar par jo sar
jaise jannat ki hawaon ka hua jaari safar
hota jaata hai ragon may khoon thanda dekhiye
jee rahi hai baba jaan...
jaane kis andaaz se bibi ne akbar ki buka
sheh ne aankhein khol di jis dam sakina ne kaha
ek nazar dam tod'ti beti ko baba dekhiye
jee rahi hai baba jaan...