Sabr Sakina(s.a) karna hai ,Sabr Sakina(s.a) karna hai
1. Baad hamaare hoti aziyat,har pal hogi nayi musibat
Zulmo sitam ab sehna hai , Sabr Sakina(s.a) karna hai
2. Shaame Gharibaa'n khaime jalenge, Ahle haram sab qaidi banenge
zulm ke saaye me rehna hai , Sabr Sakina(s.a) karna hai
3. Shimr(l.a) tamaache maarega bibi, Kano'n se bundhe chinega bibi
Uf na zabaa'n se karna hai , Sabr Sakina(s.a) karna hai
4. Bibi hamein ab yaad na karna, Madar ki aagoosh me rehna
Zid nahi bibi karna hai , Sabr Sakina(s.a) karna hai
5. Koi nahi juz Abid e muztar , Lenge Layee'n Zainab(s.a) ki chadar
Baazu rasan me bandhna hai , Sabr Sakina(s.a) karna hai
6. Mehwe buka aur rote the sarwar(a.s), Gham nahi karna aye meri dukhtar
Tanha tumhe ab rehna hai , Sabr Sakina(s.a) karna hai
Kalaam : Janab Basit Ali Sahab