Alweda Aon o Mohammad Alweda Aon o Mohammad
Jao Maidaa'n ko sidhaaro Alweda Aon o Mohammad
1. Nusrat e shah karo ran ko sidhaaro baccho
Apni Amma se kiya waads nibhao baccho
Jaan mamu pa lutaao - Alweda Aon o Mohammad
2. Apne nan ki tarah jang fatah kardaalo
ek hi waar me lashkar ko fana kardaalo
nasle baatil to mitaao -Alweda Aon o Mohammad
3. Aye mere raaj dulaaro ye meri baat suno
mamu Abbas(a.s) ke shagird ho batado inko
jang is tarah dikhao - Alweda Aon o Mohammad
4. Mere baccho mere pyaaro hai ye hukme maadar
nahr ka rukh bhi na karna ke hai pyaase Asghar(a.s)
Pyaas apni na bujhao - Alweda Aon o Mohammad
5. Ran ko jana hai tumhe mai ye bata deti hoon
sar kataana hai tumhe apna bata deti hoon
Jaan Asgar(a.s) pa lutaao - Alweda Aon o Mohammad
6. Mera armaan hai mai tum ko fida kar daalu
Apne bhai pa tumhe aaj fida kar daalu
Mera Armaan nikaalo - Alweda Aon o Mohammad
Kalaam : Meer Kumail Ali