Magz tak Haider(a.s) ka sar do neem hogaya
Aye Alamdaare wafa ab tera baba na raha
1. Tegh aisi thi ke jo zehre dagha me thi bujhi
jiske ek hi waar se jabeene haider@ choor thi
haaye moula ka mere sar tukdo'n me do bat gaya
2. waar karke bhaagne muljim laga jab us ghadi phir pakad laaye use sab saare ashaab e Ali@
tab kaha moula ne usse kya mai bura imam tha
3. ye sada sunkar Ali@ ke laal dono ro pade
Janibe masjid wo doude aur ye kehne lage
mere baba ki jabee'n ko kisne tukde kardiya
4. bandh kar rumaal apna sar pa shabbar ne kaha
dard kaisa hai aye baba haaye ya shere khuda
bole haider@ phir tadapkar muh ko kaleja aagaya
5. Bole Haider@ bete se padhwao tum ab ye namaaz
ab yahaa'n se hai tumhaari hi imamat ka agaaz
ja raha hoon mai meri jaa'n waqt mera aagaya
6. Zainab e dilgeer boli'n lao baba ko mere
gar nahi laaye to hum bhi sue Masjid aayenge
bole Safdar beti se kya karbala ab aagaya
7. masjid e kofa mein moula apna dekho guzar gaya
monis o yaawar hamaara rehnuma maara gaya
ghar me allah ke wali ka saara laho hai behgaya
Kalaam : Mirza Aur Kumail