khuda ke ghar may sar e musalla
khuda ka chehra lahoo lahoo hai
layeen ki zarbat se aaj dekho
hassan ka baba lahoo lahoo hai
uthaya beton ne zakhmi baba
amama shabbar ne phir bandhaya
kiya ali ne khuda ko sajda
ali ka sajda lahoo lahoo hai
khuda ke ghar may...
pukaare ghazi tadap tadap ke
sitam ye baba hua hai kaise
ye zulm dhaaya kis layeen ne
ke ghar khuda ka lahoo lahoo hai
khuda ke ghar may...
rasool marqad may ro rahe hai
hai aaj yasrab pe sog jaari
lehad may roti hai khoon zehra
baqayya saara lahoo lahoo hai
khuda ke ghar may...
yateemi zehra ki betiyon pe
lo aaj kufe may aa gayi hai
hai chaak hasnain ka gareban
ghilaaf e kaaba lahoo lahoo hai
khuda ke ghar may...
hai eid kaisi ye hum pe aayi
tadap ke boli ali ki jaayi
manaate khushiyan hai ahle kufa
shaheed e kufa lahoo lahoo hai
khuda ke ghar may...
hai lab pe bachon ke aah o zaari
khabar na maula ne li hamari
yateem kufe ke ro rahe hai
sahara unka lahoo lahoo hai
khuda ke ghar may...
jawad har lafz hai gawahi
udaasi tehreer par hai chaayi
qalam bhi roya hai khoon ke aansu
ali ka nauha lahoo lahoo hai
khuda ke ghar may...