1. Quda Ke Ghar Mein Ali Ka Lahoo Bahaya Gaya.
Lehed Mein Binte Muhammed Sa., Ko Yun Rulaya Gaya.
2. Tadap Raha Hai Musalle Pe Fatahe Khaibar.
Sare Imam Pe Sajde Mein Zulm Dhaaya Gaya.
3. Janaza Jaan Ke Baba Ka Cheeq Uthi Zainab Sa.
Ali Asws. Ko Masjid E Koofa Se Aise Laaya Gaya.
4. Salaam Bhi Nahi Karta Tha Koi Hyder Asws., Ko.
Har Aik Gaam Pe Moula Ka Dil Dukhaya Gaya.
5. Dame Aqeer Bhi Yeh Kehke Ro Rahe The Ali Asws,.
Meri Batool Sa., Ko Darbaar Mein Bulaya Gaya.
6. Kumail Aagayi Asghar Asws., Ki Yaad Moula Ko.
Jo Doodh Koozo'N Mein Bharkar Unhe Pilaya Gaya.