Kanz e Aza

Main Bayaan Kaise Karu Meri Musibat Amma

A noha for Wapasi-e-Ahle Haram, recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Main Bayaan Kaise Karu Meri Musibat Amma

uthke Zainab (sa) Ki Zara Dekhlo Gurbat Amma

1. Lutke Pardes Se Aayi Hoon Mai Amma Utho

mujhpe Jo Guzri Hai Rudaad Sitam Ki Pucho

har Qadam Maine Uthaayi Hai Aziyat Amma


2. Jeete Ji Bhai Ke Gham Ne Mujhe Maara Dekho

dedo Beti Ko Tumhaari Ye Sahaara Dedo

khogayi Aankho'n Se Meri Ye Basaarat Amma


3. Dar Badar Kucha O Bazaar Phiraaya Humko

taaziyano'n Se Layeeno'n Ne Rulaaya Humko

zulm Karti Rahi Nana Ki Ye Ummat Amma


4. Mere Majaaye Ko Teero'n Pe Tadapte Dekha

garm Rethi Pa Use Sar Ko Patakte Dekha aur Layee'n Naizo Se Dete The Aziyat Amma


5. Kund Khanjar Liye Zalim Jo Chada Seene Par

main Tadapti Rahi Chillati Rahi Ro Ro Kar

ek Bahen Se Suno Bhai Ki Shahadat Amma


6. Bhai Ka Lasha Mere Is Tarah Pamaal Hua

ungliyaa'n Kat Gayi Mithi Pa Kaleja Dekha

main Bayaa'n Kaise Karu Ab Nahi Himmat Amma


7. Mere Abid (as) Ko Pinhaayi Gayi Bhaari Bedi

mujhse Dekhi Nahi Jaati Thi Wo Gurbat Uski

main Bacha Laayi Hoon Sholo'n Se Imamat Amma


8. Mera Qasim (as) Nahi Abbas E Dilawar Bhi Nahi

margaye Aon O Mohd (as) Mera Akbar (as) Bhi Nahi

main Bana Aayi Hoon Har Ek Ki Turbat Amma


9. Tum Azadaare Shahe Dee'n Ko Duayei'n Dena

apne Rumaal Me Le Lena Har Ek Ashk E Aza

Kazmi

Ne Hai Likhi Meri Musibat Amma