Kanz e Aza

Momino Mein Hai Hashr Sa Bapa Kar Gaye Qaza Jaffer e Sadiq

A noha for Imam Jaffer e Sadiq (a.s), recited by Anjuman e Asghari. Lyrics in Roman Urdu.

Momino Mein Hai Hashr Sa Bapa. , Kar Gaye Qaza Jaffer E Sadiq Asws.

moosa E Kazim Asws. Karte Hai Buka, Kar Gaye Qaza Jaffer E Sadiq Asws.

1. Zulm Na Ruka Zalimeen Ka Ghar Jala Diya Wa Museebata.

haaye Dediya Zehre La Dawa Kar Gaye Qaza Jaffer E Sadiq Asws.


2. Madraso Ki Shaan Ilm O Fan Ki Jaan Kibriyai Ki Jo Hai Aan Baan.

baab Ilm Ka Haaye Dhaa Diya, Kar Gaye Qaza Jaffer E Sadiq Asws.


3. Jaan Boojhkar Saamne Layee'n Jad Ko Aapke Kehte The Bura.

chain Se Tumhe Jeene Na Diya, Kar Gaye Qaza Jaffer E Sadiq Asws.


4. Zeher Ka Asar Is Qadar Hua, Zard Hogaya Chehra Aapka.

zeher Saqt Tha Zabt Na Hua, Kar Gaye Qaza Jaffer E Sadiq Asws.


5. Ta Dame Naza, Saath Hai Pisar, Karte Hai Buka Sar Ko Peetkar.

yaad Aagayi Unko Karbala, Kar Gaye Qaza Jaffer E Sadiq Asws.


6. Seenazan Hai Aaj Asghari Tamam, Yeh Kumail Ki Hai Dua Imam.

ho Baqi Mein Bhi Aapki Aza, Kar Gaye Qaza Jaffer E Sadiq Asws.