sar peet ke sab kehte the aye sarware zeeja'n , aye jafare sadiq
kyu aap ko ye zehr diya haaye bad eemaa'n, aye jafare sadiq
dunya me namoodaar hai aaj aathwa ye gham, har simt hai maatam
mansoore sitamgar ne kiya shaah ko bejaa'n aye jafare sadiq
masroofe buka quld me hai shabbaro shabbir, hai fatima dilgeer
is ranj se bechain hai aaj ahmade zeesha'n, aye jafare sadiq
kuch qoufe quda dil me na bedee'n ke aaya, be wajah sataaya
zalim ne kiya kazime zeejah ko pareshaa'n. aye jafare sadiq
ahle harame shaah me hazrat ke hai mehshar, sab kehte hai rokar
aye raahate aaramo dile baqare zeesha'n, aye jafare sadiq
kuch qouf quda ka na kia haaye sitamgar, mansoore bad aqtar
jaan aapki lekar hua qush dushmane yazdaa'n, aye jafare sadiq