Kanz e Aza

hashr hai aalam me bapa haaye haaye

A noha for Imam Jaffer e Sadiq (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

hashr hai aalam me bapa haaye haaye

hogayi jafar pe jafa haaye haaye

dedia mansoor ne sadiq ko zehr

sheh ne ki dunya se qaza haaye haaye


aaj hue moosie kazim yateem

baap ka sadma hai bada haaye haaye

karti hai bewa yahi ro ro ke bain

raaj mera aaj luta haaye haaye


chain na hazrat ko mila ek dam

sehte rahe zulmo jafa haaye haaye

haal yateemo ka hai gham se tabaah

karte hai sab aaho buka haaye haaye


ghar hua veeraan madina luta

raah numa qatl hua haaye haaye