Kanz e Aza

Hasliyon Waale Mere

A noha for Ali Asghar (a.s), written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

haye ali asgharam haye ali asgharam


hasliyon waale mere ho chuke bas ab khafa

haye ali asgharam haye ali asgharam


dasht mein tum kho gaye jaa ke kahan so gaye

maut ko apna liya mujhse khafa ho gaye

kya meri aaghosh se bad ke hai teer e qaza

hasliyon waale mere...


gham ke andhere bhi ab poori tarha cha chuke

dekh parinde sabhi laut ke ghar jaa chuke

baat meri maan le laal mere laut aa

hasliyon waale mere...


jhoola bhi khamosh hai qabr bhi veeran hai

aaj se bistar tera khaak e biyaban hai

socha tha kya kya magar haye ye kya hogaya

hasliyon waale mere...


gham ye mai kaise sahun bin tere zinda rahun

tu hi batade mujhe bibiyon se kya kahun

poochti hai mujhse sab chand kahan hai tera

hasliyon waale mere...


jhoola jhulaungi mai lori sunaungi mai

apne jigar band dil ko mein chipaungi mai

kehti hai ro ro ke ye kab se meri maamta

hasliyon waale mere...


phool se lab khol de pyar se has bol de

phir mere ehsaas ke kaano mein ras ghol de

aa bhi jaa acha nahi dayr talak roothna

hasliyon waale mere...


sunti hoon lipte ho tum khoon bhari poshak mein

neend nahi aayegi pairahan e khaak mein

zakhm dhula doon tere kurta badal doon tera

hasliyon waale mere...


rooth gaya aasman hogayi dushman zameen

kisko mai apna kahun hai bhi to koi nahi

ujdi hui godh par tu hi taras kha zara

hasliyon waale mere...


ghair huwe jaate hai aamir o nayyar ke haal

hai teri dargaah mein dono sarapa sawaal

maa teri qurban ho inki tu sunle dua

hasliyon waale mere...