haye fizza haye haye fizza
ali ki betiyon ko yun bachayegi fizza
ke unke hisse ke patthar bhi khayegi fizza
ali ki betiyon ko...
lipat ke royegi zainab se karbala ki hawa
rida jo khaake shifa ke udhayegi fizza
ali ki betiyon ko...
karegi yaad zamana ali ki shahi ka
aseer hoke jo kufe mein jayegi fizza
ali ki betiyon ko...
khule saron ko bohat yaad aayega ghazi
qabeele waalon ko jis dam bulayegi fizza
ali ki betiyon ko...
karegi qaid mein yun ehteram zainab ka
qadam ki khaak ko sar par uthayegi fizza
ali ki betiyon ko...
sarhane baithi hui turbate sakina par
na hogi shamma to aansu jalayegi fizza
ali ki betiyon ko...
mili lehed bhi bohat paas shaahzadi ke
na chod kar kahin zainab ko jayegi fizza
ali ki betiyon ko...
jahan jahan pe bhi zainab ka tazkera hoga
wahan wahan safe matam bichayegi fizza
ali ki betiyon ko...
khade hai marqad e fizza pe aamir o nayyar
inhe bhi lehja e quran sikhayegi fizza
ali ki betiyon ko...