Kanz e Aza

Jab Shaam Jaana

A noha for Darbaar e Shaam, written by Nayyar Jalalpuri. Lyrics in Roman Urdu.

jab shaam jaana

bibi ko jaa kar nauha sunana

ahle aza tum jab shaam jaana


tum hamesha yaad rakhna us zamane ka mehal

jis jagah tum ho wahin zainab rasan basta thi kal

thay yahin zanjeer mein jakde huwe zainuleba

ahle aza tum jab...


ye sakina ki lehed hai jis jagah hai roshni

sochiye ek din yahan par kis khadar thi teeragi

band thi saari sabeelein khatm tha har aasra

ahle aza tum jab...


bibiyan paon uthaati thi magar uthta na tha

abid e beemar ka ghairat se sar uthta na tha

har taraf baazar mein tha aaina hi aaina

ahle aza tum jab...


ye wo darwaza hai tehri thi jahan par bibiyan

kam nahi thay hashr ke manzar se wo ruswaiyan

has rahe thay berida sadaat par ahle jafa

ahle aza tum jab...


har taraf se zulm ke patthar baraste thay yahin

waaris e tatheer chadar ko taraste thay yahin

goya barpa thi yahin par doosri ek karbobala

ahle aza tum jab...


moo ko aata tha kaleja zainabe dilgeer ka

jis jagah ek tasht mein rakha tha sar shabbir ka

tha yahin baitha hua haakim sharabi behaya

ahle aza tum jab...


ya khuda qaidi na ho aise yateemi mein koi

phir na maange is tarha bacchi kaneezi mein koi

tha sakina ke liye ek hashr ka wo samaa

ahle aza tum jab...


zulm ki roodad batlayenge tumko raaste

thay yahin par ek rassi mein bandhe baara gale

ye ali ki betiyan hai thi munadi ki nida

ahle aza tum jab...


nayyar o aamir ki hai tum se guzarish zaairon

ho sake to ek yateema ke liye lekar chalo

nanhi si do baliyan aur ek choti si rida

ahle aza tum jab...