Kanz e Aza

Kahan Ho Ay Mere

A noha for Darbaar e Shaam, written by Azam Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

zainab ko jo bazaar mein zaalim ne phiraya

us waqt lab pe tha ye kahan ho ay mere ghazi


ek izdehaam ka hai badkaar fasikon ka

bazaar sharabi se guzar saani e zehra ka

deti thi sada ro kar kahan ho ay mere ghazi

zainab ko jo bazaar mein...


pur khaar raaste hai aur nange paon sadaat

mehshar se kam nahi hai ye sakhtiyan ye halaat

pairon se khoon hai jaari kahan ho ay mere ghazi

zainab ko jo bazaar mein...


atfaal hussaini pe hai zulm o sitam jaari

aur noke sina par sar quran ka hua taari

gham naak is fiza mein kahan ho ay mere ghazi

zainab ko jo bazaar mein...


nau baar rida sar se yun cheena hai zaalimo ne

haathon ko pusht e gardan baandha hai zaalimo ne

is darja musibat mein kahan ho ay mere ghazi

zainab ko jo bazaar mein...


bazaar saj gaye aur khushiyan mana rahe hai

baaghi ki behan keh kar zaalim sata rahe hai

haste hai layeen hum par kahan ho ay mere ghazi

zainab ko jo bazaar mein...


ranj o alam mein dooba wo abid e muztar hai

sharm o haya ka paikar chalta jhukaye sar hai

dene ko ab dilaase kahan ho ay mere ghazi

zainab ko jo bazaar mein...


aazam mai likhun kaise bazaar ka wo manzar

sar nange bibiyon ke chalta tha dil pe khanjar

ahsan sada thi lab par kahan ho ay mere ghazi

zainab ko jo bazaar mein...