Kanz e Aza

Khoon Ankhou Sai Rawan, Soch Pay Chaie Hai Rida

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

Kyun Tere Sar Sai Hoi Chadar E Tatheer Juda


Takht Kai Samne Baithi Hai Zameen Pai Zainab,

Ru Ba Ru Zainab Kai, Qatil E Shabeer Kharra


Ghaib Naizay Sai Agar Sar Hai, Na Marro Mujko,

Milayga Baba Wahin, Jis Jagga Akbar Houga


Amma Fiza Ab Hat Ja Tu Mere Aagey Sai,

Cheer Dalay Ga Issay, Haideri Khutba Mera


Shidat E Dard Sai Ankhou Kai, Sabhi Parde Phattay,

Chashmay Sajjad Sai Youn, Khoon Hai Bahar Nikla


In Bazarou Kai Liye Mere, Hi Takhleeq Hoie,

Ro Kai Zainab Kahay, Shaam Main Ghairat Ka Khuda


Benamazi Ussay Kehta Hai, Tu Kum Zarf Nahin,

Jisko Sajda Bhi Karay, Kabba Samjh Kar Sajda


Binte Haider Nai Jalalat Main, Jou Khamoosh Kaha

Louh E Mahfooz Talak, Chaya Mukammal Sakta


Kho Gayi Bheer Main Mere Jou, Sakeena Adil,

Dil Main Ghairat Ka Toufan, Hotou Pai Marne Ke Dua.