Kanz e Aza

Khudaya Zainab Berida

A noha for Darbaar e Shaam. Lyrics in Roman Urdu.

khudaya zainab berida shaam ka bazaar

aate hai nazar hashr ke aasaar


kya shaam may ab koi musalman nahi hai

ghere huwe kaabe ko hai kuffaar

khudaya zainab berida...


durron ke sitam aur mohamed ki nawasi

shal ho na gaye daste sitamgaar

khudaya zainab berida...


masoom sakina ko tamachon se bachale

ye daste sitam phool se rukhsaar

khudaya zainab berida...


rukh zard hai sadme se lahoo aankhon se jaari

dam tod na de khaafila saalaar

khudaya zainab berida...


ek ek se jo aaj rida maang rahe hai

ye ajre risalat ke hai haqdaar

khudaya zainab berida...


tatheer ki aayat se jinhe tu ne nawaza

sar nange khade hai sare darbar

khudaya zainab berida...


fizza ki hifazat ke liye khinch gayi talwar

zainab ka nahi koi tarafdaar

khudaya zainab berida...