khoon barsa khoon barsa
khoon barsa na barasna tha na badal barse
ek ek khatre ko pani ke shah e deen tarse
khoon barsa khoon barsa
pyaas jab hadh se badi ro ke sakina ne kaha
door kitni hai chacha nehr batao ghar se
khoon barsa khoon barsa...
ab kahan khaak pe baithi ho sakina utho
kaun aaya hai palat kar jo gaya ran ghar se
khoon barsa khoon barsa...
ghurkiyan shimr ki kahin jo kiya baap ko yaad
kaan ke dard se royi to tamache barse
khoon barsa khoon barsa...
abhi shabbir hai zinda wahin tehro zainab
tum ko akbar ki qasam tum na nikalna ghar se
khoon barsa khoon barsa...
mere nana ke madine tujhe zainab ka salaam
thokare khaa ke palat aayi hoo main dar dar se
khoon barsa khoon barsa...
haq o baatil ka ho takrao to dil ladte hai
jang ye jeeti nahi jaati kabhi lashkar se
khoon barsa khoon barsa...