haye abbas haye haye abbas
khoon mein dooba alam abbas ka
kha gaya sheh ko ye gham abbas ka
jab gulu e shaah pe khanjar chala
tadpa laasha dam ba dam abbas ka
khoon mein dooba...
kar ke qabza nehr pe dikhla diya
ab bhi qaayam hai bharam abbas ka
khoon mein dooba...
saf jaa takrayi dar o deewar se
dekh kar jaah o hasham abbas ka
khoon mein dooba...
jab sakina roti thi baad e hussain
zikr karte thay haram abbas ka
khoon mein dooba...
nauha gar hoon mai shahe karbobala
ye hai irfan pe karam abbas ka
khoon mein dooba...