khoon ke aansu lahoo lahoo ye manzar tere naam
tapti reti be-sar laashe sarwar tere naam
khoon ke aansu...
chala abu talib ka beta aayi nidaye ghaib
farshe nabi par sone wale khyber tere naam
khoon ke aansu...
has kar boli binte asad se kaabe ki deewar
sher ki dukhtar sher ki maadar ye ghar tere naam
khoon ke aansu...
teri ghulami rashke ameeri wah teri taqdeer
aal ki kidmat deen ki nusrat qambar tere naam
khoon ke aansu...
ghurbat mein jaan de di lekin daaman e aal na choda
haq ki rifaqat faqr ki daulat buzar tere naam
khoon ke aansu...
kaisi chain ki neend aayi hai talwaron ke neeche
sone waale aaj nabi ka bistar tere naam
khoon ke aansu...
sehre ka arman hai dil mein maa ko kya maloom
maut jawani ne likh di hai akbar tere naam
khoon ke aansu...
sar nange hai jaane waali bazaar e kufa mein
khudrat ne tatheer ki likhdi chadar tere naam
khoon ke aansu...
chand sa chehra khoon mein ghaltan baap ka baazu zakhmi
pyaas ki shiddat maut ki lazzat asghar tere naam
khoon ke aansu...