Kanz e Aza

Khoon Rulwati

A noha written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

zainabe muztar hai aur manzar pa manzar karbala

khoon rulwati rahegi zindagi bhar karbala


maut ki aaghosh mein bete ne wo angdayi li

saath jis angdayi ke sarwar ki beenayi gayi

khoon mein tar akbar hue ke khoon mein tar karbala

zainabe muztar hai...

khoon rulwati...


behgaya pani to phir sari umeedein rehgayi

hasratein sab sher ki mitti mein milkar rehgayi

warna ghazi ko thi kooze ke barabar karbala

zainabe muztar hai…

khoon rulwati...


nafse dauran rukgayi aur aasman sakte mein hai

aur udhar qaime ke dar par ek maa sajde mein hai

bezaban ke saath hai payka ki zad par karbala

zainabe muztar hai...

khoon rulwati...


haye wo ek natawan aur aahni tauqe giran

aur wo bemaar ke talwon mein kaante al-aman

ro rahi hai paaye abid se lipat kar karbala

zainabe muztar hai...

khoon rulwati...


shaahe deen teeron pe tehra hai tera jisme figaar

zere khanjar thi magar yun mehve zikre kirdigaar

aagayi hai tere sajde mein simat kar karbala

zainabe muztar hai...

khoon rulwati...


har nafas hai ye dua apni azadari rahe

majlis-o-matam ka har ek silsila jaari rahe

hashr tak shahid ho yuhin ashke sarwar karbala

zainabe muztar hai...

khoon rulwati...