Kanz e Aza

Mashkeeza e Sakina

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Shahid Jafer. Lyrics in Roman Urdu.

mashkeeza e sakina kehta hai alqama se

qaimon mein tishnagi hai asghar bahot hai pyase

mashkeeza e sakina...


sookhe hue labon par likhi hai ye kahani

hai aale mustufa par haftum se bandh pani

ay kaash rok deta koi teri rawani

awaaze al-atash hai har samt har faza se

mashkeeza e sakina...


har kishte aarzoo ko be-aab kar gayi hai

ahle haram mein sab ko betaab kar gayi hai

akbar ka khoon se barchi sairaab kar gayi hai

ghar ke charagh bhi ab bujhne lage hawa se

mashkeeza e sakina...


hasrat se tak raha hai bedast apne baazu

rakhe to kaise rakhe jazbat par wo qaabu

chehre pe beh rahe hai chashme jari ke aansu

wabasta sab umeedein bachi ki hai chacha se

mashkeeza e sakina...


arshe bari hai larza insaniyat hai gumsum

roka gaya kuch aise shabbir ka takallum

hichki ke saath ubhra phir khoon bhara tabassum

ghuncha jhulas gaya hai paikaane hurmula se

mashkeeza e sakina...


shahid hai gham ka manzar wo shiddate atash hai

tadpenge kaise sarwar wo shiddate atash hai

rukne laga hai khanjar wo shiddate atash hai

sharminda tishnagi hai mazloome karbala se

mashkeeza e sakina...