mere aaqa mere maula
mere be-dast jari mere ghazi abbas
aabru pyaas ki tune labe darya rakhi
tere rehwaar ke tapon ki garaj sunte hi
fauj sar pat baaghi
khud ba khud tham gaya darya ka bhi behta pani
mere ghazi abbas
mere aaqa mere maula...
aslahe mein tera hatyar hai bas ek naiza
koi talwaar nahi
phir bhi larzeeza tere roab se hai har shaami
mere ghazi abbas
mere aaqa mere maula...
is tarha baandh ke naize se bhara mashkeeza
haat nam ho na saka
tujhsa mohtaaj falak ne bhi na dekha koi
mere ghazi abbas
mere aaqa mere maula...
al atash ki wo sadayein pe jigar kat'ta hai
aur dil rota hai
taziyane hai musalsal jo sama'at pa teri
mere ghazi abbas
mere aaqa mere maula...
doo badoo aake lade tujhse bhala kiski majaal
chupke karne lage waar
kat gaye haath kamin gaah se talwar chali
mere ghazi abbas
mere aaqa mere maula...
haath jaise hi kate mashk ko daaton mein liya
rukh kiya qaimon ka
daf'atan mashk pe ek teer laga mashk chidhi
mere ghazi abbas
mere aaqa mere maula...
mashk se pani ka behna tha ke dil baith gaya
ab to kuch bhi na raha
aise mein durz laga sar pa qayamat tooti
mere ghazi abbas
mere aaqa mere maula...
dhal gayi shaam bade raat ke saaye shahid
teeragi phail gayi
toota naiza liye bibi koi maqtal ko chali
mere ghazi abbas
mere aaqa mere maula...