mashk o alam ka zikr wafa ki namaz hai
himmat ka tazkira hai magar dil gudaaz hai
alfaz mukhtasar hai hikayat daraaz hai
abbas par nabi ke nawase ko naaz hai
abbas sher e haq ki adaon ka naam hai
abbas fatema ki duaon ka naam hai
abbas ek naam hai insaniyat ka naam
abbas ek payam hai ikhlaas ka payam
abbas ek nizam hai akhlaakh ja nizam
abbas ek imam hai eesaar ka imam
eesaar hai wafa hai murawwat hai sabr hai
barsega karbala mein jo khul kar wo abr hai
shaan o shikoh e jafar e tayyar ki qasam
hamza se bemisal jigar daar ki qasam
taqdeer se doshe hyder e karrar ki qasam
is ohda e jaleel ke meyaar ki qasam
hum kyun kahe ke saani e karrar kaun hai
keh dega khud aalam ke alamdar kaun hai
jaate hai is shikoh se abbas e ba-hasham
ek dosh par hai mashk to ek dosh par alam
nazrein lagi hui hai suye qaima e haram
kehte hai ye samand se haan tez tar qadam
neki ka hai ye kaam to ujlat ghazab ki hai
pyase rahe jo khud ye karamat nasab ki hai
bhai ke gham mein tha jo mohamed ka noor e ain
aankhon mein ashke gham thay to sookhe labon pa bain
rote thay is taraf to shenshensahe mashraqain
abbas ke labon pa musalsal tha ya hussain
bhai ka naam leke jahan se guzar gaye
mashk o alam ki khair ho abbas mar gaye