Kanz e Aza

Masjid e Kufa

A noha for Imam Ali (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

masjid e kufa se logon aa rahi hai ye sada

jo nabi ka jaanashin tha wo ali maara gaya


jis ki aamad ke liye dewaar e kaaba shak hui

halaat e sajda may uska khoon masjid may baha

masjid e kufa se logon...


saazish e ahle saqeefa kaam apna kar gayi

aaj sajde may ali par chal gayi taygh e jafa

masjid e kufa se logon...


kufiyon khushiyan manao qatl hyder ho gaye

khana e zehra may lekin aaj hai matam bapa

masjid e kufa se logon...


kis tarha zainab ne sunli ye qayamat ki khabar

hausla bibi ko koi dene waala bhi na tha

masjid e kufa se logon...


ambiya nauha kuna hai rote hai jinn o bashar

jaa raha hai aaj dunya se ali sher e khuda

masjid e kufa se logon...


momino tum aaj milkar pursa do hasnain ko

uth gaya hai un ke sar se aaj saaya baap ka

masjid e kufa se logon...


jafri mushkil kusha ke qatl ka nauha hai ye

jo musalle par usi ke khoon se likha gaya

masjid e kufa se logon...